From Akash

Saturday, January 7, 2012

Kya Seekha ...Kya Bhool Gaye Hai....


Na Jane kaun si ye daud hai
Na raaston ka hai pata 
Na manjilo ki khabar hai
Bas chal rahe hai, 
peeche choot jane ka darr se
apno ko harana seekh gaye hai...


Kal ki chinta mein hai aise jakde hue
ki aaj ka jashn
manana hi bhool gaye hai
Sapno mein aisa doobe hai 
ki haqueekat ke saath 
waqt bitana bhool gaye hai...


Kami to nahi hai 
kisi cheej ki aaj bhi
par fir bhi
dikhaawe ke iss khel mein
doosron se eersha
krna seekh gaye hai...


Khwahishein kab lalach ban gai
ye bhi hosh na raha 
badi badi umeedon ke beech
choti choti khushiyon ke
maje lena bhool gaye hai...


Uska bangla aur iski gaadi dekh
apna pyara sa gharonda 
na jane kyun ujaad rahe hai
waqt ko apni mutthi mein band kar
na jane kyun iske sang
jeena bhool gaye hai....

3 comments:

  1. "Kal ki chinta mein hai aise jakde hue
    ki aaj ka jashn
    manana hi bhool gaye hai"...this is just soo true...
    nice read Akanksha - keep rolling :)

    ReplyDelete
  2. Nice nice.. very nice..
    seriously... the question i ask everyday to myself.. is the same..
    Kya seekha.. kya bhool gaye hain..
    very nicely captured.. .
    Good going Akka.. :)

    ReplyDelete