From Akash

Wednesday, August 3, 2011

Waqt to Lagta Hai...

Tazza tazza sapno mein rang bharne mein
Adhoori umeedon ko ek nai udhaan dene mein
Beete hue lamhon ko peeche chodne mein
Bigade hue haalaton se ladne mein
waqt to lagta hai....


Mann chahi cheejon ko paane mein
Dil ki muraadon ko poora karne mein
Mehaki umangoon ki khusboo bikherne mein
Bachpan ki uss chooti si aasha ko bada hone mein
waqt to lagta hai....


Kuch ankahi baaton ko kehne mein
Chaahton ke izhaar hone mein
Kisi ko apna banane mein
Ya Kisi ko bhulane mein
waqt to lagta hai....


Mehanat ke rang laane mein
Kismat ke khul jane mein
Kuch doosron ko samjhanne mein
kuch khud ko samajhne mein
waqt to lagta hai....


Uunchi neechi raahon se gujarne mein
Kadwaahat ko mithaas mein badalne mein
Apni galtiyon se seekhne mein
Khud ki apni ek pehchaan banane mein
waqt to lagta hai....


Ugate hue suraj ko apni roshni failane mein
Dhalti hui shaam ki chaandni chaane mein
Raat ko din aur din ko raat hone mein
Door khadi us manzil tak pahunchne mein
waqt to lagta hai....
Kuch waqt to lagta hai......

2 comments:

  1. Whenever I read it, it gives me patience to hold for a while and look where I am :)

    Keep Writing, this one is the best..!!

    ReplyDelete
  2. \m/.. simply awesome...

    Isse padhne ke baad Feels like.. sunday ki subah subah .. halki halki baarish mein... balcony mein... with light old music,,, and adrak waali chai.... jaisi freshness...
    so so fresh.... keep writing!!

    ReplyDelete