From Akash

Monday, December 5, 2011

Yaad aata hai maa....

Yaad ata hai maa ka raat bhar sar par patiyan chadhana
yaad ata hai unka subah pyar se jagana
yaad ata hai school se pehle zabardasti nashta khilana
yaad ata hai hamari shararton par unka halke se muskana
yaad ata hai unke hanthon ko tham kar baazar jana
yaad ata hai unka anshu poch kar gale lagana
yaad ata hai meri ek khasi se unka raat ko uth jana
yaad ata hai unka sote waqt loriya sunana
par dekho na ye manzil mujhe kahan le ayi
aaj ek baar fir wahi rut ayi hai
ek andhera kamra hai
aur bas tanahayee hai
sach kahun to dard is bukhar se tapte badan ka nahi hai
dard aaj sirf mere mathe par wo mamta bhara hanth na hone ka hai
dard unse dur hone ka hai
par ye mat samjhna ki aaj bimar hone par maa ki yaad ayi
raah mein mili har khushi mein bhi yahi tanhayi hai
par ab bhut din nahi main maa se dur rehpaunga
vada karta hun main maa,jald hi teri mamta bhari god mein sone
tere paas aunga..
 --Akash Gupta

Thursday, December 1, 2011

Antardwand


In unchee neeche raahon se
duniaya ke bhool bhulawon se
kaise bhi bahar aa jaoge
par nikloge kaise 
iss antardwand se
jahan krti hai 
baatein baaton se
aur mann ke beech khade
ho jate hai 
hum dagmag dagmag se


Kaise batalun mein 
iss pagal mann ko
apni hi kheencha taani mein
pees rahe ho tum mujhko
chakki ke do paato mein
Kaise rokun  mein
inn baaton ke toofano ko
sahi galat ki apni ladai mein
la khada kiya hai tumne mujko
na jaane kaisi majhdhaaron mein


In toofaano se
In majdhaaron se
abb to bahar aana hoga
khol kiwaade mann ke
ek nai disha mein jana hoga
Maana ki itna aasaan nahi
bahar aana ,iss dhundlepan se
par paooge na tum kuch bhi
jab tak na jeetoge iss dwand se

Sunday, November 20, 2011

Kuch Khwaab Jo Adhoore Hai....

Kuch khwaab aise hai
palkon pe baithe hai
Patjhad bhi aaye to
wo waise ki waise hai
Kaise samjhaun unko
kya keh manau unko
Kehte hai wo mujhse
wo sirf mere hai


Karte hai wo mera intzaar
jiyenge wo sang mere
Unka bhi hai aisa ek khwaab
Sheeso se naajuk se
naa toot jayen unke
dilon ke  ye taar
Toote wo agar kabhi
hoga unko kitna dard
hai mujhe iska ehsaas


Jo bhi abb karna pade
unka banana hai mujhe
wo jo aankhon mein base
unke saath jeena hai mujhe
Wo meri hi duniya mein rahenge
kuch khwaab jo adhoore hai mere

Monday, September 19, 2011

Dedicated to all those people who keep inspiring me, who are there for me always.....


Teri uss baat ne 
mera nazariya badal diya
Meri duniya thi kini seemit
Tune daayra badha diya


Jab bhi tune mujhe samjhaya
Mujhe ek naya agaaz mila
Jab bhi mene teri suni
khud ko naya anjaam diya


Raaston mein jab kaante chubhe
Tune mera dard baanta
Lage jab bhi khusiyon ke mele
Tune jashn sabse bada manaya


Honthon se ruthi jab hansi
Tune dil ko gudguda diya
Tujhko tha itna aeitbaar
Ki mene jokhim bhi hans ke utha liya


Tujhse jab bhi mein mili
Roshan mera jahan hua
Mujhse jab kuch nahi hua
Tune aakar mujhe thaam liya

Tuesday, September 13, 2011

Kuch Lamhe Waqt ke Saath....

Na khusiyon ke aalingan mein
Na gam ke bandhan mein
Tu na baandh payegi mujhe
Apni bediyon ki baahon mein


Ek din waqt ne kaha mujhse kuch aisa hi
Baithi thi jab mein kuch pal uske sang yunhi
Dekh kar uski natakhat si hansi
Ithla ke,mene bhi usse jawaab diya ussi ghadi


Tu har pal mere saath chalega agar
Jindagi kitni berang ho jayegi magar
Luka chipi ka khel khelta hai tu har pahar
Khatte meethe swaadon ka maja lete hai hum magar


Sun kar ye wo kuch ghabra sa gaya
Bola mujhse ye to mujhpar hi ulta aa gaya
Thaam kar haath dheeme se uska
Mene samjhaya usse kuch aisa


Kuch meethi yaadon ka kissa hai tu
Kuch  unche neeche palo ka hissa hai tu
Meri haar aur jeeton ka darpan hai tu
Mein raahi,raasta mera hai tu


Jaisa bhi hai tu
Par hardam mere saath hai tu
Har ghadi karwatein badalta hai tu
Phir bhi mere jeevan ka adhaar hai tu...

Wednesday, September 7, 2011

Manjilon mein nahi 

hum raaston mein yakin rakhte hai

Manjil par aakar tham jayenge kabhi na kabhi

par ye raaste dete rahenge hume manjilen nai

Thursday, September 1, 2011

Ae dil mein teri hi sunungi...


Ae dil mein teri hi sunungi
Toote chahe kitne bhi
par khwaab to mein phir bhi unungi
Koi raah choot jaye adhoori bhi
to nai raah mein chunungi
Ae dil mein teri hi sunungi

Koi kahe isse meri naadani
to wo bhi mein sunungi
Koi kahe isse meri deewangi
to diwaani mein banungi
Ae dil mein teri hi sunungi

Kisi chehre ko de paun kiran roshni ki
mein jindagi ko kuch aise jeeungi
Haar jaun agar mein koi baazi
to kya, kuch dil mein jeet hi lungi
Ae dil mein teri hi sunungi

Rooth jayega agar tu kabhi
to har haal mein tujhe mana lungi
Koi roke ya toke mujhe koi
mein na aabb kisi ki sunungi
Ae dil mein teri hi sunungi

Wednesday, August 24, 2011


Ishq tu khud se itna kar le
ki kisi ki mohabbat fir raas na aaye
Zindagi ko tu itna jee le
ki maut  bhi aaye to saath na le jaa paaye

Sunday, August 21, 2011

Zindagi ko mein jeeti hun aise.....


Zindagi ko mein jeeti hun aise
ki kabhi wo mujhse shikayat na kare
Khayaal rakhti hun uska aise
ki kabhi wo mujhse koi sawaal na kare


Sapno ko bunti hun kuch aise
ki kabhi neend ko bhi pata na lage
Bharti hun rang unme kuch aise
ki sach bante unhe der na lage


Nibhaana chahti hun saath apno ka aise
ki unke gam unhe gamgeen na kare
Koshish krti hun lekar chalun unhe saath aise
Ki unki manjil unhe saaf saaf dikhe

Roshan karun unka naam kuch aise
ki wo mujhpar garv kar sake
Ummedon par unki utrun khara kuch aise
ki unki jholi khushiyon se bhar sake


Deewani ho jaun mein kuch aise
ki wo parwana  bhi magroor ho jaye
Chahungi mein usse aise 
ki ye zamaana bhi uske kadmon mein aa jaye

Saturday, August 20, 2011

Palkon ki jhapakion mein
sama kuch yun badal jata hai
Kal tha jahan sab kuch
Aaj sannaton ka pehra hai
In sannato mein bhi kabhi kabhi
Bahut chain milta hai
Kamse kam jee bhar
Khud se rubaroo hone ko to milta hai
Maana ki mehfil ke rang 
Suhane bade hote hai
Par tanhaiyon mein rehne ka mazza
Kuch aur hi hota hai
Zindagi  ye meri 
Do pal ki kahani hai
Baut saare kirdaar hai nibhane
Par samay ki bi apni aana-kaani hai
Tham jaye ye kabhi to
Bayan karta ek kahani hai
Behta rahe agar bekhauf
To maujon ki mast ravaani hai

Accha Lagta Hai...

Desh ko yun ek jutt dekh
accha lagta hai

Dharm ke naam par
Ek doosre ka khoon bahane waalon
Desh ki buraiyon se tumhe ladte dekh
accha lagta hai

Kehte hai nai peedhi
Bahut aage hai nikal gai
Par yuvaon ko Anna ke saath khade dekh
accha lagta hai

Paise ke liye
Ek doosron ka gala kaat dene walon
Imaandaari ke liye tumhe ladta dekh
accha lagta hai

Hai jinda abb bhi
Tumhare andar ka zameer
Jaan kar ye hume
accha lagta hai

Inn bhaagti daudti sadkon par
Thehra hua
Logon ka hujoom dekh
accha lagta hai

Hai vyast apne kaamon mein sabhi
Fir bhi shaam ko
Mashaal liye khade hazaaron haath dekh
accha lagta hai

Matlabi logon  se bhari
Iss duniya mein
Jann hit ke liye tumhe kuch krta dekh
accha lagta hai

Aye desh vaasiyon
Der se hi sahi
Tumhe apni aatma ki awaaj sunte dekh
accha lagta hai

Bas yuhi datte rehna
Apni maango par atal rehna
Ek sundar desh banane ka sapna
Tumhari aankhon mein dekh
accha lagta hai

Desh ko yun ek jutt dekh
accha lagta hai

Thursday, August 18, 2011

Zindagi se na koi shikayat kar

Zindagi se na koi shikayat kar
har pal jee bhar jeene ki bas chaahat kar
Door khade un muskurate chehron ko dekh
khud ki pareshaaniyon se na nafrat kar
dikh raha hai jo hara bhara abhi
peele patton ka mausam tha wahan bhi kabhi


Khud ki kismat ko na kos yunhi
Dhoop aur chaon ke rang hai 
sabki zindagi mein kahin na kahin
Haari hui baazi se,khud ko niraash na kar
uunchaiyaan ko chuna hai to
ghaawon ko saath lekar chal


Jo na haasil kar paye ho
uske liye aankhen namm na kar 
paaya hai jo tumne abhi
lo uske mazze jee bhar


Aisa to nahi jis maud chaaho
Uss maud mud jaye zindagi
par moomkin to ye bhi hai
ki sahi rasta mil jaye 
in galiyon mein hi 


Doosron ki khushiyon se
na kabhi jalan mehsoos kar
lekar unse thodi prerna
apni zindagi ko roshan kar
Zindagi se na koi shikayat kar.....

Wednesday, August 10, 2011

Chal Chale Hum...


Chal chale hum
dil ki us dagar pe aaj
jikr to jinka kiya kai baar
par na jane kyun
na badha paye kadam uss paar
jo bhi hasrate hai meri
bachpana maano to wahi sahi
bas poori mujhe hai krni
dil ki har baat,choti ho ya ho badi


Chod ke ye darr 
ki kaun kya kahega
ya hansega humpar zamaana
bhool ke  ye jahan saara
mujhko apni khwahishon ka
wo khoobsurat shehar hai paana

Nahi chahti mein 
iss baat ka ho pachtaava
ki kaash mene suna hota 
jo tha dil ne kaha
kam se kam ye sukoon to hoga
na choda tha mene koshishon ka kaarwaan


Jo bhi hoga
jaisa bhi hoga
mannchahe rango se bhara hoga
mere aasmaan ka har sira
aur hai mujhe yakeen itna
wahi hoga meri khushiyon ka aashiyaa..

Tuesday, August 9, 2011

Bas Yun Hi...


Hai agar koi khamoshi 
to lawzon mein use bayaan karo
Hai lambhi andhiyaari raat
to mann ke jugnu se usse roshan karo


Dil ki tamannaon ko
na kabhi nazaraandaz karo
Zindagi pooche koi sawaal
to jawab de aage badho


Na jane kab thehar jaye
ye behta paani
Zindagi ka har ek pal
jeene ke naam karo

Maa....


Nanhi si ungli pakad tu yahan tak le aayi
Jab bhi girne lagi mein, thaami tune meri kalai
Jab bhi dagmagaya mera vishwaas
Bhar diya tune mujhe nai shfurti ke saath
Aankhon mein dekh aanshu mere
Tu bhi bahut ghabra gayi
Par na jane kaise meri
Har uljhaan ko tu suljhaa gayi
Hui jab bhi galati mujhse
Gussa to aaya hoga tujhe mujhpe
Par kabhi na daanta tune uspe
Bas samjhaya humesha sneh se
Har nakhre ka mere
Tune hai laad kiya
Har ikccha ko meri
Kehne se pehle hi poora kiya
Raat mein jab bhi neend aane ke bahane kiye mene
Apne haathon se khana khilaya hai tune
Naazon se paala hai itne
Apni jaruraton ko chod meri farmaishey poori ki hai tune
Cheejon ke mol ko pehchanana ho
Ya rishton ki naajuk dor ko thaamna
Tujse hi seekha hai mene
Jeevan ke har roop mein khud ko dhalna
Mere sapno ko tune
Ek nai udhaan di
Sabne kheencha jab apna haath peeche
Tu mujhe do kadam aage badha gayi
Rehti hun tujhse door itna yahan
Phir bhi mere mann ko tu bhaanp leti hai sada
Iss duniya mein tu hi meri duniya hai
Tu hi meri duniya hai,meri Maa....

Sunday, August 7, 2011

Sach aur Sapna...

Mana ki jise chahte hai wo apna nahi ho sakta...
Duniya mein sab kuch sapno sa nahi ho sakta..
Mana ki sacchai kadwi bahut hoti hai...
Par ek wahi hai jo apni to hoti hai.


Sacchai kadwi ho par acchii hoti hai...
Sapne dekhe bina to bujhdil ki zindgi hoti hai
Mana sab kuch duniya mein sapno sa nahi dikhta
Hum jisko chahe wo hamesha nahi milta
Par isiley to zindagi aage badhne kaa naam hoti hai.

Mein aur meri Zindagi...

 Kabhi zindgi ne mujhko
 Kabhi maine zindagi ko
 Haar gaya kabhi main
 Kabhi hara diya maine usko
 Ik raah chal rha hun
 Sapne hazar bunke
 Ankhon mein hain mere
 Aashaon ke deep jalte
 Chunani hai raah miujko
 Jaye jo manzil pe...
                                                                ----Akash Gupta

Dedicated to all my FRIENDS.............




waqt aisa aata hai hum sabki jindagi mein kabhi na kabhi
dil mein ek kashmakash si rehti hai har pal har ghadi
khush hun bahut ki manjil hai saamne khadi
dekhe the jo khwaab ho rae poore abhi
par phir bhi na jane kyum iski  roshini hai dabi dabi


wo haath choot jane ka hai gam 
jinhe pakad  ye seedhiyaan chadhi
wo saath choot jane ka hai darr
jinke sahare ye jindagi kati
darr hai ye kahin na kahin
kaise hoga ye safar naya
jisme na hoge tum sabhi
na darte the mushkilon se hum kabhi
kyunki tum sab par tha itna yakeen


hai jehan mein uth rahe hazaaron sawaal
kyun mile the hum kabhi
jab bichadna tha aise ,abhi
dhundli hai kyun wo tasveer 
rang bharte the jinme milkar sabhi 

kehte hai yahi sabhi 
duniya ki hai ye reet buri
par kyun sochte hai aisa hum sabhi
mein to sochti hun yahi
kuch aur naye haanthon ka hoga abb saath
aur tab apni puraani dosti ki hogi aur bhi gehri chaap
hogi kuch naye logon se mulaakat
aur tab tum sabki aayegi hume baut yaad


yun na sochna yaaron 
ki tumhe bhul jayenge
bas apne karwaan mein kuch naye log 
shaamil ho jayenge
raho tum sab kitne door,kahin bhi
mere dil ke ho sabse karib hi
bas ek awaaz dena jab bhi aaye yaad humaari
jee jaan se haazir ho jayenge hum kaise bhi
rab se hai bas yahi dua
tum sab yuhin muskuraate rehna sada...

Saturday, August 6, 2011

Yaadein...


Kuch dhundli si tasveerein
yunhi ubhar aati hai
kabhi khushi to kabhi aansu le aati hai
Yaadein to bas Yaadein hai
bas yuhi aa jaati hai
Na shabdon mein piroya tha
Na kagaaz pe utaara tha
phir bhi na jane kaise
ye yaadein, itna yaad aati hai

kuch aisi ki jindagi jee lun unke sang
to kuch pal bhar mein dil ko chubh jaati hai
kuch mann ko gudguda jati hai
to kuch dil ka peer ban jaati hai
kuch tanhaayion mein saath de jaati hai
to kuch mehfil mein rang jamaa jaati hai

kuch meethi si takraar ki
to kuch ghanto hui yaaron ke sang baat ki
kuch kiye hue waadon ko nibhaane ki
to kuch apno ke beech raah choot jaane ki
kuch roothe hue doston ko manane ki
to kuch waqt-bewaqt unhe bas pareshaan krne ki

kuch tere mere beech ke us raaj ki
to kuch duniya bhar mein halla ki hui jeet ki
kuch toote hue taare se maangi hui muraad ki
to kuch exam mein bas paas ho jane ki umeed ki
kuch un annkahi baaton ki
to kuch tum sabse door hone ke ahsaanson ki

na jaane kitne beete hue pal samete hai ye
na jaane kitne aane wale pal jee lenge inke sahaare
na jaane kaunsi hongi taaza fir se
ya bas reh jayengi dil ke kono mein chup ke
yaadein to bas yaadein hai
mann ko choo lene wale ahsaason ki kahani hai.....

Friday, August 5, 2011

Maa ki choti si baat....


Dhundla dhundla sa kyun dikh raha hai iss sheeshe se
Kaisi hogi ye duniya iss ghar ke aage
Kuch ghabra ke, kuch sakucha ke
Poocha maine jab ye apni maa se

Boli na ghabraoo tum beta aise
Bas mann ke sheeshe ko saaf tum kar lena
Uspar ek sacchi tasveer abhilekh kar lena
fir shuru karna apni duniya mein rang bharna.

Dhund jo ye chai hui hai
ho jaayegi chumantar khud hi.
Itni asaani se wo mujhe samjha gai
badhte hue in kadmo ko
sahi raasta dikhla gai.....


Thursday, August 4, 2011

Zindagi Ko Bhi Jeene Ka Kuch Waqt Do Yaaron Sabhi...


In tanhaaiyon mein hum sab mehfil dhoondte hai...
mehfil bhi mile to 
na jane kyun tanhayion ke sang ghoomte hai...
Is bhaagti daurati jindagi mein do pal ka sukoon dhoonte hai
sukoon bhi mile to
na jane kyun aane wali udheerd bun se joojhte hai...


Roj sunte hai  ek-doosre se
kaisi ho gai hai ye jindagi bhi...
Fir kyun nahi thamate kadam ye
ruk kar jara susstaane ke liye...


Hai hume peeche choot jane ka darr
ya bheed mein chalne ki aadat si pad gai..
Aisi kaun si manjil ko pane ki hai khwahish 
ki jindagi ki raahein hi badal gai...



Kab tak yunhi bhatakte rahenge is aapa-dhaapi mein
fir sochonege kyun nai mili wo khushi jo chaahte the kabhi...
Isse pehle ki ye jindagi sawaal kare humse
jindagi ko bhi jeene ka kuch to waqt do yaaron sabhi...

Wednesday, August 3, 2011

Waqt to Lagta Hai...

Tazza tazza sapno mein rang bharne mein
Adhoori umeedon ko ek nai udhaan dene mein
Beete hue lamhon ko peeche chodne mein
Bigade hue haalaton se ladne mein
waqt to lagta hai....


Mann chahi cheejon ko paane mein
Dil ki muraadon ko poora karne mein
Mehaki umangoon ki khusboo bikherne mein
Bachpan ki uss chooti si aasha ko bada hone mein
waqt to lagta hai....


Kuch ankahi baaton ko kehne mein
Chaahton ke izhaar hone mein
Kisi ko apna banane mein
Ya Kisi ko bhulane mein
waqt to lagta hai....


Mehanat ke rang laane mein
Kismat ke khul jane mein
Kuch doosron ko samjhanne mein
kuch khud ko samajhne mein
waqt to lagta hai....


Uunchi neechi raahon se gujarne mein
Kadwaahat ko mithaas mein badalne mein
Apni galtiyon se seekhne mein
Khud ki apni ek pehchaan banane mein
waqt to lagta hai....


Ugate hue suraj ko apni roshni failane mein
Dhalti hui shaam ki chaandni chaane mein
Raat ko din aur din ko raat hone mein
Door khadi us manzil tak pahunchne mein
waqt to lagta hai....
Kuch waqt to lagta hai......

Umeedein aur Sapne.....

Kuch tooti hui umeedein
chubhati hai in aankhon mein
kuch bikhre hue sapne..
dil ko dukha jate hain
na sajayenge koi naya sapna hum
na lenge kisi umeed ka sahara abb
kuch aisa hi hota hai dil ka haal tab
par sach to ye hai yaaron
umeedon ke karwaan mein
koi na koi umeed rehti hai
sapne kitne bhi poore ho jaye
ye aankhen har roj naya bun leti hai


Zindagi ko is tarha bojhil na kro.
socho to jara...
na tooti hoti kuch ummeedein to
to nai kaise banti
aur tab kya ye jindagi aur bhi bojhil na lagti?
na bikhare hote kuch sapne
to ye sapne ,sapne na hote
aur chandd sapno mein hi jindagi na gujar jati?


Ek alag hi maja hai aise jeene mein..
khushi ke maayne hai gam ke hone mein
kuch khatee kuch meethi yaadein hai..
kuch banti bigadti saugaatein hai
pal pal badalti jindagi ki...
yahi to kahani hai.........