From Akash

Saturday, March 16, 2013

Ek aur Safarnaama..............


एक  और  सफरनामा  पूरा  हुआ
 नई  मंजिल  को  पाने  की ओर
 फिर  बढ़  चले  कदम  किसी  राह  पर

 एक  और  कारवाँ  पीछे  छोड़ते हुए
 दिल  में  है  अजीब  सी  कशमकश  हो  रही
 न  जाने  कैसा  होगा  साथ  आगे  आने  वाले   मोड़  पर

 एक  और  सपना  ये  आँखें  बुन  रहीं
 इन्  यादों को  मुठठी   में   बटोर  कर
 वक़्त  जरा  ठहर   जा , कुछ  पल  और  जीने  दे  इनके  साथ

 एक  और  याराना  हो  गया   मजबूत  
 बिचड़   कर  उनसे   होगा  इसका   और  भी   एहसास
 बस  मिलते  रहना  यूँही ,जैसे  हो  आज  की  बात

 एक  और  चुनौती   के  लिए
 खुद  को  करना  होगा  तैयार
 तुम  जैसे  दोस्तों  ने , जिंदगी  बना  दी  थी  इतनी  आसान

 एक  और  महफ़िल  जमायेंगे
 घंटो  की  बातों  के  सिलसिलों   के  साथ
 और  बनायेंगे  प्लान ,पता  नई  कब  जो  होंगे  साकार

 याद  बहुत  आओगे  तुम  सब
 एक  नहीं  पल  पल , हर  बार
 हर  ख़ुशी  मिले  तुम्हे ,दुआ  है  यही  बस  यार


Ek aur safarnaama poora hua
nai manzil ko paane ke aur
fir badh chale kadam kisi raah par

Ek aur kaarvaan peeche chod kar
dil mein hai ajeeb si kashmakash ho rahi
na jaane kaisa hoga saath aage aane waale mod par

Ek aur sapna ye aankhen bun rahin
inn yaadoon ko muthhi mein bator kar
waqt jara tehar ja, kuch pal aur jeene de inke saath

Ek aur yaaraana ho gaya majboot
bichad kar unse hoga iska aur bhi ehsaas
bas milte rehna yunhi,jaise ho aaj ki baat

Ek aur chunauti ke liye
khud ko karna hoga tayaar
tum jaise doston ne, jindagi bana di thi itni aasaan

Ek aur mehfil jamayenge
ghanto ki baaton ke silsilon ke saath
aur banayenge plan,pata nai kab jo honge sakaar

Yaad bahut aaoge tum sab
ek nahi pal pal, har baar
har khushi mile tumhe,dua hai yahi bas yaar







No comments:

Post a Comment